writer

Click here to edit subtitle

                                                                            " Waqt phir aaj"
Waqt phir aaj mujh par tarash kata h,
ab to ye bhi jatata hai,

kitna lachaar hu mai in rishto ke beech,
ab ye waqt mujhe batata hai,

kis tarah kar du bebas is bheed mai unhe,
jab ki waqt pyaar ka ek lamha nahi jatata h,

aur isi tarah
waqt phir aaj mujh par tarash kata hai..!



                                                             "Koi wajah rahi hogi"

har manjar chala jaa raha h,
har saks chala jaa raha h,
par wo hume wahi khade rehne ki kasam de gaye,
"Koi wajah rahi hogi"

khoj le mujhe koi us raste tak pahuchane ke liye,
aur wo aaye bhi to gumraah kar kaye,
"Koi wajah rahi hogi"

is gumrahi ke rasto par anjaan hokar ab tak chala ja raha hu,
kyo ki mere apne mujhse keh gaye the juda na hone denge,
par koi na aaya,
"Koi wajah rahi hogi"

kis tarah baya karu apne aapko,
is tarah andhero mai aa gaya hu MAI,
nahi rahe saye mere saath mujhe pata hai,
ki
"Koi wajah rahi hogi"

mujhe milwa de meri kismat us saks se,
jisne kasam di thi mujhe,
aur mai bata saku use ki wo kasam maine aaj bhi nahi todi,
"Koi wajah rahi hogi"

Written by-A.K. gupta


                                                         "mai rahu ya na rahu"

mai rahu ya naa rahu mera pata reh jayega,
saakh par yadi ek bhi patta hara reh jayega,

apne geeto ko duniya ki jubaan se dur rakh,
mere mann ke dil mai kata chubha reh jayega,

mai bhi dariya hu magar sagar meri manjil nahi,
mai bhi sagar ho gaya to mera kya reh jayega,

kal bikhar jauga mai bhi roshni ki tarah,
kirne chun legi mujhe, jag dundta reh jayega,

Written by-A.k. gupta

                                                                                           "jagaya bhi hai"
mere dost
jo tumse baat karne ko tarsa ab tak,
aaj tumne use aajmaya bhi hai,

tumne to apni taraf se gam kiya lekin,
ek baar meri laash ko jagaya ko jagaya bhi hai,

chalo mat mano rista nata humse tum lekin,
tumne apno se badhkar matam manaya bhi hai,

meri jindgi ke roj baat tak naa ki tumne,
aaj foolo se laash ko sajaya bhi hai,

chalo marne ke baad chahaa,par chahaa to kisi ne hai,
ab yah gam naa rahega ki kisi ne chachaa nahi hai,

khub tadpe hai, hum apne gam mai dost,
aaj marke kuch sukun aaya bhi hai..!

Written by-A.k. gupta


                                                                          Yaad aata hai mujhe

yaad aata hai mujhe...
tera wo palat kar dekhna,
tera wo choti choti bato par ruth jana,
meri paresaniyo par gale lag jana,
kamoshiyo mai hasana,
meri aakho se aakhe churana,

yaad aata hai mujhe...
mere behte hue aanshuo ko tera pochna,
mere saath saye ki tarah rehna,
meri galtiyo ko andekha karna,
din raat mera khayal rakhna,

yaad aata hai mujhe...
yu chhod kar chala jana,
tera palat kar naa dekh pana,
aur yu hi mujhe bhul jana,
aur yahi baate logo ko batana,
bewajah webafa ka iljaam lagana,

yaad aata hai mujhe...
yaad aata hai mujhe...
yaad aata hai mujhe...!

Written by-A.k gupta




                                                               "MUJHE AKELA REHNE DO"


meri khamosiyo ke beech "mujhe akela rehne do"
na jatao ye jhutaa pyar mujhse mere dost,
meri bebasi mai "mujhe akela rehne do"

nahi chahiye wo jhuthi humdardi tumhari,
nahi chahiye wo jhute aashu tumhare,
mere akele pan ka majak na banakr "mujhe akela rehne do"

naa dikhao mujhe gumrahi ke ye rashte,
kisi aur ke liye rakh lo ye humdardi,
bas is khuddude rasthe par "mujhe akela rehne do"

ek mazak to ker chuke pyaar ke naam par,
ek jakhm to de chuke dil dene ke naam par,
bas ek rehem kar do,"mujhe akela rehne do"

mere har aashu par tera hasna,
mere marne bad mere pass aana,
aur na chahte hue b tujhe ye kehna ab to "mujhe akela rehna do"

WRITTEN BY-A.K. GUPTA


                                                            MANVTA KI CHAAYA

is duniya mai kyo hu mai aaya
jab na thi is duniya m manvta ki chaaya,

panpti rahi ye gareebi is duniya ke har kone m,
sahare ka tinka kisi ko na mil paya,
kyo ki naa thi is duniya mai manvta ki chaaya,

berojgari aur brastachari ne kar diya hai khokhla,
jane kitno ne hai mehnat ka paisa khaya,
kyo ki naa rahi is duniya mai manvta ki chaaya,

arthik paristithiya, gadbadati rahi jane kitno ki,
is waqt me kaam naa aaya, khud kaa saya,
kyo ki mar chuki thi yaha manvta ki chaaya,

waqk rehta nahi, kisi apno ke paas,
par aise  waqt me bhi,kisi ne sath na nibhaya
kyo ki na rahi is duniya mai, manvta ki chaaya,

ek tute hue ghar ko, humne khud hi banaya,
brastachariyo ko rahi, bewaqt paise ki  maya,
kyo ki na rahi is duniya mai manvta ki chaaya..!

Written by-A.K.Gupta

                             Laxhmi jesi bitiya ko yu hi bojh bana dala..


ek lalach ki choti si chah mai, mamta ka gala ghot dala,
laxhmi jesi bitiya ko, yu hi bojh bana dala,

nadan rahi wo har choti choti bato se ,
jehar kaa ghut use pila dala,
laxhmi jesi bitiya ko yu hi bojh bana dala,

naa chaha kisi ne bitiya ko,
bas ladke ki chah mai khushi ka deepak jala dala,
laxhmi jesi bitiya ko yu hi bojh bana dala,

toot gaye sab rishte usse, naa mil pai mamta ki chhaya,
sirf ek ladke ki chah m, jane kitno ko hai mar dala,
laxhmi jesi bitiya ko yu hi bojh bana dala,

ghot diye sab sapne uske,naa raha uska saya,
is duniya mai aane se pehle, gungaa use bana dala,
laxhmi jesi bitiya ko yu hi bojh bana dala,

wo kya jane is duniya ki chalti phirti lalach ko,
choti choti baato mai uske armano ka gala daba dala,
laxhmi jesi bitiya ko yu hi bojh bana dala,


WRITTE BY- A.K. GUPTA